APRIL FOOL

AAJ KA SAWAL NUMBER 2425

April Fool manana kaisa hai ?

Jawab

April fool me ye 4 cheezen hoti hai.
1. Jhoot,
2. Takleef pohanchana,
3. Mazaaq udana &
4. Be Izzat karna.
5. Gair qaum ki musabahat.

ISLAM KHAIR KHAHI WALA MAZHAB HAI.

Ab in pehli 4 cheezo ke bare me Quran o Hadis se sirf ek ek baat Mai likhunga tafseel nahi.

1. JHOOT:
Quran:
“ALLAH KI LANAT HAI JHOOTO PAR.
(3:61)

Hadis:
Moamin me paidashi taur par Saari Khaslaten hosakti hai Magar KHAYANAT aur JHOOT ki Aadat nahi hosakti
(MUSNAD AHMED)

2. TAKLEEF POHANCHANA:

Quran
“aur wo Log jo Baghair kisi Qasoor ke MOMIN MARDO or MOMIN AURTO ko takleef pohanchate hai, unho ne Yaqeenan BOHTAAN AUR SAREEH GUNAH KA BOJH UTHAYA.”
(33:58)

Hadis:
“MOAMIN WO HAI JISKI ZABAN AUR HATH SE DUSRE MUSALMAN MEHFOOZ RAHEN.”
(BUKHARI)

3. MAZAQ UDANA:

Quran:
“Aye IMAN WALO! Tum me se koi dusre ka Mazaq na udae Mumkin hai jinka Mazaq udaya jaa raha hai wo un se Behtar ho aur na Aurten dusri AURTON ka Mazaq udae MUMKIN hai wo Jinka Mazaq udaa rahi hai unse ACHI hon.”(49:11)

Hadis:
Tum me se koi shaqs Apne BHAI ke Samaan ko(bila ijazat) na Mazaq me le aur Na Haqeeqat me le”
(ABU DAWOOD)

4. BE IZZAT KARNA:

Quran:
“HAR US SHAQS KE LYE KHARABI HAI JO TANA DENE WALA, AIB NIKALNE WALA AUR CHOGHAL KHOR HAI.”(104:1)

Hadis:
“Kabeera Gunahon me se ek BADA GUNAH kisi Musalman ki Izzat par Na Haq Hamla karna hai.”
(ABU DAWOOD)

AB ZARA IN AAYAAT AUR AHADIS KO GHAUR SE PADH KAR SONCHE KE HUM “APRIL FOOL” MANA KAR ALLAH KI LANAT AUR DOZAQ KE AZAAB KE MUSTAHIQ BAN RAHE HAIN.

Maine har baare me 1 AYAT or 1 HADIS likhi hai warna in baato par aur bhi waeeden hai. hum 2 minute ki nafsani khahish ke lye ALLAH AUR USKE RASOOL KI NARAZGI kyun MOL LEN AUR akhirat ki ZINDAGI ko kyun JAHANNAM ka ghar banalen….????

SOCHIYE
KHUD BHI BACHEN AUR DUSRO KO BHI BACHAEN.
ALLAH HUM SAB KI HIFAZAT FARMAE AUR TAMAM BAATIL CHEEZO SE BACHAE.
AMEEN

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI
GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT
INDIA

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *