Auraton Ka Nokari Ya Tijarat Ki Jaiz Na Jaiz Surat








Auraton Ka Nokari Ya Tijarat Ki Jaiz Na Jaiz Surat

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1400⭕

Aurten school, dukan companisarkari daftar par nokri ya tijarat parde me rehkar kar sakti hai ya nahi agar nahi kar sakti to kin sharton ke sath kar sakti hai kyun baz martabah kamai ki majboori hoti hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Aurton ko nokri ya tijarat do shart ke sath jaiz hai.
1.be padagi na kare.Pardah aur naqab ke aehtamam ke sath wahan aana jana ho.

2.wahan ka mardon ke sath ikhtiat-meljol na ho Chahe koi bhi jaga ho sarkari ho privet meljol yani wahan upar se niche tak staf, grahak,padhnewali sab aurten ho pardah ke sath bhi mardon se meljol,batchit me fitneh aur gunah ke wujood me aane ka andedh hai isliye jaiz nahi.
Aurat ke liye is fitne ke dsur me aehtiyat isee me hai ke bila sakht zaroorat ke nokri na kare balke ghar par hi silai kaam, mehdi kaam, jaiz tareeqe se aurton ko muzayyan-sajane kaam tiytion, pecking wagairah kaam kare.
FATAWA WAMIYAH 23\575

 

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *