Ayushman Card Banwana Ka Hukm
⭕AAJ KA SAWAL No.3361⭕
🔵SAWAL🔵
Aaj kal hukumat ki janib se ek sihat card Banta hai jis ko ayushman card bhi kehte hai is card ko hukumat free banati hai aur is card ke zariye aadmi 5 lakh Tak free ilaj Kara sakta hai to kya is card ko banwana durust hai ya nahi ? Agar koi is ko banwata hai to kya wo bimari ko daawat deta hai ya tawakkul ke khilaf kaam karta hai
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Ayushman card banwane walon ko hukumat ye sahulat deti hai ke agar wo bimar ho jayen to 5 lakh Tak ka ilaj muft ho sakta hai aur ye card muft Banta hai ye hukumat ki taraf se ek ta’avun-madad hai agar ye card jhut bol kar na banwaya gaya ho to is card ko banwane aur uske zariye ilaj karane me shar’an koi haraj nahi hai aur na ye tawakkul ke khilaf ha kyun ke duniya darul asbab hai aur asbab ikhtiyar karna mana nahi hai.
(Musalmanon ko is se faida uthhana chahiye ye hamare hee tex ke paison ka haq hai)
و الله اعلم بالصواب
📘MAKHOOZ AZ ON LINE DARUL ULOOM DEOBAND WAQF
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India