BIVI KO WALIDAIN AUR RISHTEDAR SE MILNE SE ROKNA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2952⭕
kya me apni bivi ko us ke walidain aur rishtedar se milne se rok sakta hun? Jab ke phone par baat hoti rehti hai.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Bivi ko apne walidain aur qareebi rishtedaron se milne se rokna jaiz nahi, milna us ka haq hai.jis ki tafseel ye hai ke agar walidain hafte me ek bar aa sakte hon to bivi ko milkar chale jayen, damad ki ijazat ke bagair qayam na karen, agar na aa sakte hon aur muddate safar 77.25 k.m se qareeb rehte hon to bivi hafte me ek din ja sakti hai raat ke qayam ki ijazat dene na dene ka ikhtiyar shohar ko hai, agar muddate safar ya us se door rehte hon to mahine me ek din ja sakti hai aur doosre rishtedaron se saal me ek martaba mil sakti hai.
و الله اعلم بالصواب
FATAWA MAHMOODIYA 18/585 SE AUR FATAWA ULOOMUL ISLAMIYYAH BINORIA TOWN FATWA NO.143909200390 SE MAKHOOZ
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India