PEHLI WILADAT KA KHARCHA

PEHLI WILADAT KA KHARCHA

⭕ AAJ KA SAWAL No. 2956 ⭕

Hamare yahan ye riwaj hai ke ladki ki shadi ke baad pehli delivery ka kharch ladki ke walid uthhate hain chahe woh gareeb hon ya maaldar kya ye tareeqa saheeh hai?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Nikah hone ke baad bivi ka tamam kharch shohar ke zimme hai jis me ilaj muaalajah aur wiladat ka kharch bhi dakhil hai, hamare muaashare ka ye urf- riwaj saheeh nahi ke gareeb khusar (sasre) par kharch daalna aur use na rok kar riwaj ka faidah uthana halal nahi.gairon ke asar se ye tareeqah aaya hai lihaza is riwaj ko chhodna zarooree hai.

📗RADDUL MUHTAR 3/599 ON LINE DARUL IFTA JAMIA DARUL ULOOM KARACHI SE SE MAKHOOZ.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *