GHUMSHUDAH JANWAR BAAD ME MIL GAYA
⭕AAJ KA SAWAL No.2901⭕
Agar Gumshudah janwar wapas mil jaae to us ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Agar Gumshudah janwar wapas mil jaae to us ki teen soorten hain :
(1) Agar maaldar ka gumshudah Janwar Mila hai to us par khaas usi Janwar ki qurbani laazim nahi hai; Balke kisi ek Janwar ki qurabmi vajib hone ke aetibar se kar Sakta hai.
(2) Faqeer Shakhs ka gumshudah Janwar mil Gaya or usne mazeed koi Janwar qurbani ki niyyat se nahi kharida tha to us par sirf haasil shudah Janwar ki qurbani karna laazim hai.
(3) Aur agar gumshudah ke Milne se pehle faqir koi aur Janwar qurbani ke maqsad se khareed Chuka tha Baad me ghumshudah bhi mil Gaya to ab us par naye khareed kiye huwe aur haasil shudah dono janwaron ki qurbani laazim hogi.
📘KITABUL MASAIL 2/307
BA HAWALA
📕ALAMGIRI 5/294
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India