HARAAM AUR NA JAIZ KAMAIWALE KE HISSE KA HUKM AUR FARQ
⭕AAJ KA SAWAL NO.2892⭕
Jis ki kamai saaf haraam ho aur jis ki kamai makrooh ho un ke bade janwar me hisse lene me kya farq hai ahsanul fatawa me na jaiz aur kitabun nawazil jaiz likha hai in dono me kya tatbeeq-jod Hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Jis ki kamai saaf haraam ho jaise juwa, sharab, sood ka karobar aur chori ki wahi na jaiz haraam raqam se shirkat kare to woh khud in raqam ka sharee taur par malik nahi huwa hai isliye kisi bhi shareek ki qurbani saheeh nahi hogi aur makrooh aur na jaiz karobar ho jaise raakhi, patang wagairah bechna to us se un raqam woh malik ho jata hai lihaza aese makrooh karobar wale ke sath shirkat saheeh ho jayegi aur qurbani ada ho jayegi kitabun nawazil me ha jo jawaz likha hai is se yahi surat murad hai*
📗MUSTAFAD AZ KITABUN NAWAZIL
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India