JADOO KE DOOR KARNE KE LIYE JADUGAR KE PASS JAANE KA HUKM

JADOO KE DOOR KARNE KE LIYE JADUGAR KE PASS JAANE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2867⭕

Agar kisi par bahot sakht qism ka jadoo huva aur koi raasta na ho to usko khatm karne aur todne ke liye jadugar ke pass Jaana durust hai ya nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Basoorate Mas’oolah agar jadugar kufriya kalimaat istemaal nahi karta aur na koi aisa mantar vagairah istemal karta hai balke jaaiz zariye se jadoo todna janta hai to ilaaj ki garz se Jaana durust hai. Varna jaaiz nahi hai. Hadees shareef me iski mumani’at vaarid hui hai.

Hazrat Mufti Kifayatullah Sahab rahmatullahi alaih farmate hain :
Us musalman bimaar ko agar ma’aloom hai ke jadugar apne amal me koi najaaiz kaam karta hai aur jo mantar padhta hai vah bhi shirk va kufr ke mazmoon ka hota hai to ye bhi gunahgaar huva. Usko bhi tauba karni chahiye.

Hazrat Mufti Mahmood Sahab rahmatullahi alaih farmate hain :
Is zaroorat ki haalat me us se ilaaj karna durust hai, magar is tarah ke jo kuchh karna ho vo khud kare. Khana, peena, baandhna, padhna koi kaam mashoor (jis par Jadu kiya gaya) us ko na karna pade.

Doosri jagah likha hai:
Jadoo karna aur karana haraam hai. Agar isme koi cheez islaam ke aqeedah ke khilaaf ho to kufr hai. Aur Hindu se mantar aur dam, ta’aweez vagairah nahi lena chahiye ke usme baaz-awqaat shirk ki baaten hoti hain. Is ki ta’azeem aur is par i’etiqaad kufr hai.

📕FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA 8/69

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *