JAHEZ LENE KA HUKM AUR US KI SURTEN

JAHEZ LENE KA HUKM AUR US KI SURTEN

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2399⭕

Jahez maangna kaisa hai, Hadees me uski kya Daleel hai..? Jahez Lena kya har haal me mana hai..? Baaz Committee uska intizam kyun karti hai..?

🔵 JAWAB 🔵
حامدا و مصلیا مسلما

Jahez Maangna Jayaz Nahi..!
Uski Daleel Ye Hai ke, Bila haq maanga jaa raha hai. Sharee’at me jo bhi kharch hai mard par hai, Aurat Yaa Iske Gharwalon par koi kharch hai hee nahi.

📗 (KITABUN NAWAZIL 8/437)

Hadees Shareef me uski Daleel, Abu Humaid Radee’Allahu Anhu se Riwayat hai ke, Apne bhai ka maal bagair haq ke halal nahi aur woh isliye ke Allah Ta’ala ne Musalman ka Maal, Musalman par Haraam kiya hai.
📗 (MUSNADE IMAM AHMAD 5/425)

DARSI SAWAL-JAWAB SAFA 241

A.
Jahez Lene Dene ki 2 Surat hai.

1. Mutalabah kar ke (Maangkar) Lena, Yeh Rishwat ke hukm me hai, Rishwat ka Lena Haraam hai Aur Sakht Zarurat ke Bagair Dena bhi Haraam hai.

2.
Agar Bagair Maange Rasmo-Riwaj ki wajah se Ladki wale De-Rahe hain, To Qaidah hai ke jo cheez mashoor hoti hai woh shart ke darje me hoti hai, Lihaza Bagair mange khamoshi se Lena bhi Jayaz Nahin.

Haan Ladke wale inkaar karde, Ke Ham Rasmo-Riwaj ko nahin mante, Hame to Sirf Ladki De-Do, aur khud jahez ka zarooree saman bhi room me rakhwa de Phir bhi kuchh Diya to Agar Apni Haisiyat ke Mutabiq, kisi bhi Qism ka Qarz liye bagair aur numaish aur dikhlawa kiye bagair Diye to, Lene ki gunjaish hai. To Bhi A’ala Darja aur Behtar yeh hai ke Lene se Sakht Inkar kar diya jaaye.

Kyun ke Aam taur par jahez ki rasm ki pabandi hi karna maqsood hoti hai, Kyun ke Agar Beti ya Damaad ko Dena ho to, Nikah ki Taqreeb me hi sab kuch dene ka itna Aehtamam kyun kiya jata hai!

Apni Aulad ko, Rishtedar ko bagair dikhlawa kiye hamesha thoda-thoda insan deta rehta hai, Uske liye shaadi hi ke din ke intikhab ki zarurat naa thi, Lihaza Jahez ki Himmat Afzayi naa ho, Isliye Naa Lena hi Behtar hai.

📘KITABUL FATAWA 4/425

📕AAP KE MASAIL 5/137 SE MAKHOIZ

Khidmat ki baaz committee garibon ke liye, jald shadi karwa kar gunahon se bachane ke liye Rasmo-Riwaj se Bacha kar sunnat ke mutabiq deeni majlis me nikah aur gharelu zaruri saamaan ka intizam karte hain woh bahut munasib hai.

📗FATAWA MAHMOODIYAH 11/257 SE MSKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
21 RAJAB 1442 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *