JULOOS KI KHARABIYAN

JULOOS KI KHARABIYAN

⭕AAJ KA SAWAL NO.1906⭕

Rasmi meelaad aur juloos ka silsila kab aur kahan se shurooa huwa?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Bralwi Hazraat ke Hakeem ul Ummat, Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi Farmaate hai ke
“ Imam Sakhaawi Rh. ne Farmaaya ke Milad Shareef Teeno Zamaano me Kisi ne NA kiya, Baad me Ijaad huwa.”

(Jaal al Haq : Safa 236)

Bralwi Maulwi Faiz Ahmed Owaisi Likhte hai ke
‘Waqai Salaf-o-Saleheen ne yeh Amal Nahi kiya.’

(Gausul Ibaad : Safa 50)

Bralwi Allama Ghulam Rasool Saeedi Farmaate hai ke ‘Mehfil e Milaad ki Haiyyat e Istemaayi Har Chand ke BIDDAT hai.’
(Sharah Muslim : Jild 3 : Safa 185)

Mazeed Ghulam Rasool Saeedi ne Milad un Nabi ke Juloos ke Halaat yu Bayaan Karte hai ke

“Baaz Shehro me Eid e Milad un Nabi ke Juloos ke Taqaddus ko Bilkul Pa’amaal kar diya gaya hai, Juloos Tang Raasto se Guzarta hai aur Makaano ki Khirdkiyo or Balconiyo se Naw-jawaan Lardkiya Aurtein Juloos me shareek honewalon par Phal waghairah Phaikti hai (Shayad Sawaab ki Niyyaat se, Al Eyaazubillaah)

Aubaash-kamine Nau-jawaan Fahash-gandi Harkatein karte hai.

Juloos me Mukhtalif Gaadiyo par Filmi gaano ki Recording hoti hai aur Naujawaan Lardke Filmi Gaano ki Dhuno par Naach-te hai aur Namaaz ke Auqaat (Waqt) me Juloos Chalta rehta hai, Masaajid ke Aage se Guzarta hai aur Namaaz ka koi Ahtemaam nahi kiya jaata.

Is Qism ke Juloos MILAD UN NABI KE TAQADDUS-IZZAT PAR BAD-NUMA DHAAG hai, Unki Agar Islaah na ho sake, TOH UNKO FAURAN BAND KARDENA CHAHIYE.

Kyunke Ek Amr Mustahsan-achchhe kaam ke naam par In Moharmaat-haraam kamon ke Irtekaab ki Shariyat me Koi Asal nahi hai.

(Sharah Muslim : Jild 3 : Safa 170)

Is me raaste band kar diye jate hai jis ki wajha se emarganci mareez haspatal pahonchne se pehle dam tod dete hai aane janewale insanon ko bahut taklif hoti hai.islam ko raste taklif deh cheez hatane ki taleem deta hai na ke taklif dalne ki taleem dera hai.ek do raaste khule hote hai wahan intihaee traffic hota hai jis ki wajha se waqt aur petrol barbad hota hai dukane bad karni padti hai jis se ksi gareebon ki jo roz kamaakar roz khate hai rozi chhin jati hai.islam to Insan ke liye rahmat ban kar aaya hai na ke sehmat bankar.aorton mardon ka mail jol,taziya ki kasar nikalne tarah gummade khizra ke qimti dhaanche hote hai jis me fuzool paisa barbad hota hai aese kai haraam kaam hote hai fiqah ka qaaidah hai ke jo mustahab kaam ho lekin us karne me haraam kaam bhi ho jate hai to woh mustahab kaam bhi na jaiz ho jata hai.dusra qaidah hai ke sawab hasil karne ke muqabale me gunah se bachna muqaddam hai.

(AL ASHBAAH WAN NAZAAIR)

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
RABEEUL AWWAL1441 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Ilami (baat) msj sikhana (felana) ibadat se behtar hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *