KAAVAD YATRIYON KE IKRAM KARNE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2921⭕
Aaj kal kaavad Yatra ke liye kuchh log Pani ki sabeelen lagate Hain, unko khana khilate Hain, unki izzat aur taazeem mein unke oopar phool barsate Hain, ye sab kaam un ke dil se hamari nafrat nikalne aur hamari muhabbat paida karne ke liye aur ham me aur un me ekta paida ho, jameeat e ulama e hind ne bhi aise kaam karne ki taakeed ki hai, is liye sab kaam kiye ja rahe hain, jab Ke kaavad Yatra ek shirkiya Aur kufriya Amal hai jo Muslim log unke us kaam mein ikraam kar rahe hain unka Aisa karna kaisa hai? aur agar koi imam ya jameeat ka koi zimmedar is kam ko Kare ya karne ko kahe to uski imamat ya zimmedari ke auhde par rehna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Islam me non muslimon ke sath bhi akhlaq, husne sulook,rawadari se pesh aane ki taleem hai woh hamara insani Bhai he beemar ho to us ki iyadat kare, gareeb hai to ilaaj ka intizam kare,balke woh tamam khidmat jis ka talluq un ke mazhab se na ho karna chahiye * sab khidmaton me us ke kafir (khuda ke ek hone aur muhammad sallallahu alaihi wasallam ke paigambar hone ka inkar karnewala) hone ko dekha nahi jayega, jameeat e ulama e hind ki Muraad bhi sad bhawna aur ekta ke liye in sab kaamon ke karne ki hogi.
lekin jab sab insano ko paida karnewale aur un ki zindagi ki zaroorat poora karne ke liye chaand,sooraj, hawa,pani, galla- anaaj, phal,sabzi wagairah paida kar ke un ko paalne wale ko na maankar aur apni zaroorat un khuda se na maang kar, be jaan murti ko poojne wale aur us se apni zaroorat mang kar khuda ko naaraz aur gussa dilane ke kaam ke liye nikalne walon ki izzat karna aur un ki madad karna ye zaahir me un ke is kufr (pooja paath) ko saheeh qarar dene, jaise kaam karna haraam hai.
poochhi Hui Soorat mein kaavad Yatra beshak Bharat ke non muslimon ki kufriya rasam hai.usmein aam musalmanon ko unki madad aur support karna un ki izzat aur hosla afzayi karna ye iman ko khatm karne aur Islam ki tauheen karne jaisa hai.
Allah taala quraan e kareem me farmate hain: to tum zalimon (kufr,Shirk,aur khule taur par gunahon ke kaam karnewalon) ki taraf (un se dili dosti aur unke mazhabi ya gunahon ke kamon me sath dekar ya un ki mushabahat (copy) ikhtiyar kar ke mat jhuko warna tum ko dozakh ki aag chhu jayegi.(SURAH E HOOD AYAT 113)
Lihaza in kaamon me sath dene wale shakhs ko imamat ya jameeat ke deenee aur rifaahee maqaam aur auhde se hata dena lazim aur zaruri hai, jab tak ke voh sachchi aur pakki tauba Na Kar len.
Aur aise kaam karne ko koi imam ya zimmedar kahe to us ki baat maani nahi jayegi.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
Allah Taala ki Naa farmani me kisi bhi shakhs ki farmabardari karna jaiz nahi.(MISHKAAT SHAREEF)
📚DARUL IFTA DEOBAND AUR SAHARANPUR KE FATWON SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India