Kisi shakhs par zulm kiya ya kisi se rishwat lee ya kisi kee geebat kee ho aur ab woh mar chukaa hai to us ke in huqooq ki adaaygi ka kiya tareeqah hai?
JAWAB
Awwal to pooree koshish un ka pata lagaane me kare. agar pata lag jaye to un ka haq pahonchaye ya muaaf karaye. Agar maloom ho ke woh mar gaye hain to maalee huqooq un ke wurasaao ko pahonchado ya muaaf kara do.
agar wurasaa ka bhi pata na chale to jitni raqam tum ne zulm,choree ya rishwat se lee hai itni raqam khairaat kar do aur niyyat kar lo ke ham un ki taraf se adaa kar rahe hain.
HUQOOQUL IBAAD SAFA 56 HAKEEMUL UMMAT RAHMATULLAHI ALAYHI KEE