⭕AAJ KA SAWAL No. 2574⭕
Ba’az bahno ko unka wirasat ka hissah bhai nahi dete aur unpar kuchh aehsan kar ke muaf karva lete hain to kya is tarah muaf karne se muaf ho jayega?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Wirisat ke zariye jo milkat warison ki taraf muntaqil hoti hai zabardasti (galepadu) ki milkiyat hai, na usme wariso ka qubool karna shart hai, na uska usi par Raazi hona zaroori hai,
Balke agar woh zuban se saaf taur par yun bhi kahe ke me apna hissah nahi leta tab bhi woh shar’an apne hissah ka Malik ho chuka.
📕(Ma’ariful Qur’an: 2/312)
Jo log bahno ko hissah nahi dete aur woh yah samajh kar dil na chahte huve bhi Sharma sharmi maaf kar deti hain ke Milne wala to hai hi nahi to kyun bhaiyo se burai leve, aisi muafi se shar’an muaf nahi hota,
Unka haq bhaiyo ke zimme wajib rahta hai, yah meeras dabane wale sakht gunahgaar hain.
Isme ba’az bachchiya na-baalig bhi hoti hain usko hissah na dena double gunah ek gunah warise shar’ee ks hissah dabane ka, aur doosra yateem ke maal ko khane ka.
(Lihaza kisi ko uski bahan ne muaf kar diya ho fir bhi hissah pahonchaye warna aakhirat me iska hisab dena padega
Haqeeqat me muaf us waqt hoga jab woh apne hissah par qabza kar le aur khush dili se bila sharm aur dabaao ke wapas kar de)
📘(Ma’ariful Qur’an: 2/321)
📗MAHMOODUL FATAWA 8/508
📑ONLINE DARUL IFTA JAMIATUL ULOOMUL ISLAMIYAH BINNORIA TOWN FATAWA NO. 200024
و الله اعلم بالصواب