Aaj ka sawal no.2861
maiyyit ke gharwalon ki taraf se dafan ke baad khane ki dawat hoti hai us ka khana kaisa hai?
jawab
Agar ye dawat maiyyat ke gharwalon ki hee hai,maiyyat ke rishtedar ya padosi ki dafan me shareek bagarwalon ya gamzada logon logon ke liye nahi hai to is me shadi ki tarah is mavqa par rishtedaron ,doston wagairah jama hona hota hai yah khana kai wajha se na jaiz aur bidaat hai.
1.yah haqeeqat me hinduon ki rasm hai bas us me hinduon ki mushabahat hai.( jo haram hai)
2.shareeat me gami ke mavqa par dawat sabit nahi.
3.is dawat ko zaroori samjha jata hai aur gair zarooree chiz ko zarooree samjhna na jaiz haj.
4.da’wat me jo paise kharch hote hain us me aamtaur par na baleeg, yateemon ka bhi hissa hota hai aur na baleeg ka maal sadqah aur khairat me dena kisi soorat me jaiz nahi.( un ki ijazat bhi moatabar nahi)
5.is dawat ka maqsad isale sawab nahi hota balke dikhlawa karna hota hai ya logon ke ta’ne ke dar se dawat ki jati hai jo ke shirke asgar -chhota shirk hai.lihaza is se bachna lazeem aur zarooree hai.
( ahsanul fatawa 1/355 imdadul ahkam 1/115)