MANGETAR KO ANGUTHI PEHNANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.1552⭕

Aajkal ye riwaj ho raha hai ke ladka ladki ki mangani hoti hai to ladka ladki ek dusre ko apne hathon se anguthi pehnate hai fir steg par dono ko aaju baju me kursi par bithaya jata to shareeat ki roshni me aesa karna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Shareeat me mangani ek muaahada-aapas ka aegriment hai is ke hone ke ba wajood dono ajnabi aur naa mahram hi shumar honge ek dusre ko dekhne ki aur hath lagane ki bilkul ijazat nahi is me chand kharabiyan paai jati hai.

1. anguthi pehnane me ek dusre ko hath lagana lazim aata hai jo badi be hayai, be gairati aur haraam hai hathon aur aankhon ka khula huwa zina hai.

2.Ek dusre ke baju me bethenge to ladke ko ladkiyan dekhegi aur ladki ko ladken dekhenge is tarah ka makhloot-mix mailjol kai kharabiyan aur fitne ka sabab hai.

3.baz jaga ladke ko sone ki anguthi pehnai jati hai sone ka koi bhi zewar mard ke liye haraam hai sirf chandi ki sadi char masha yani 4 gram 374 miligram ki anguthi ki ijazat hai is se zayada wazan ki ijazat nahi.

4.saans sasra wagaira ke naraz hone ki fikr ki jati hai allah ki narazgi ki parwah nahi ki jati hai allah naraz ho gaya ye rishta hone se pehle hi toot jayega ya hone bad bhi ladai jhagde honge aur barkate aur sukoon khatm ho jayega

5.Ba qaidah logon ko jama kar ke istarah mangni karna Ye gair qaum ka tareeqa hai Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ne farmaya jisne jis qaum ki mushabahat-copy ikhtiyar ki kal qayamat ke din us ka hashr usi ke sath hoga.

Lihaza jahan aesa tareeqa apnaya ja raha ho deendar logon ko chahiye use roke aur karewalon ko samjhaye logon ne na jaiz kam par rokna tokna chhod diya hai isliye log gairon ke tareeqon ko bila jijhak aur bila khof ikhtiyar kara shurooa kar diya hai. Allah hame is se bachne aur bachani ki taufeeq ata farmaye

ISLAAMI SHADI SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH : RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *