⭕AAJ KA SAWAL NO1063.⭕
Shawwal ka mahinah manhoos hai?
Isme nikah karna, nayi dukan kholna ya koi nek kaam karna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Islam me saal ke baarah (12) mahine me koi mahinah manhoos nahin chaahe mahina 29 ka ho ya 30 ka Chahe mahina muharram ka ho ya safar ka, hafte ke saat din me bhi koi din manhoos nahin chaahe woh mangal ka din ho ya budh ka aur 24 ghante me koi ghadi bhi manhoos nahin chahe woh Raat ki ho ya din ki
Tuloo e aaftab, zawal aur guroob e aaftab ke waqt sirf namaz; aur sajdah mana woh bhi gair qaum ki mushabahat se bachne ke liye us waqt nikah tilawat zikr sadqah mana nahin.
Shawwal ka mahinah me Arab me taaoon,badi bimari aayi thi isliye panditon aur najoomiyon ne use manhoos mashhoor kar diya Islam ne aakar ye tasawwur aur aqeedah khatm kar diya aur shawwal ko badi fazeelat wala maheenah kai wajah se banaa diya jis me chand yeh hain.
1.Shawwal me eid jaisi sab se badi khushi ka din rakha
2 . jis ne ramzan baad shawwal me 6 roze rakhe use poore saal roze rakhne ka sawab bataya.
3.Shawwal me Huzoor sallallahu alayhi wasallam ka sab se aham nikah hazrat aisha radiyallahu anha se hava teen saal baad isee mahine me rukhsati huyi aur kai aham jihad shawwal ke mahine me huve hain.
📘BARA MAHINE KE FAZAL WA MASAIL SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India