MEELAD KI NIYAZ KA HUKM

MEELAD KI NIYAZ KA HUKM

AAJ KA SAWAL NO.1554

EID E MEELADUN NABI صلی الله عليه وسلم KI NIYAZ KHANA KOUN SI SURAT ME JAIZ AUR KOUN SI SURAT ME NA JAIZ ?

JAWAB

MEELAADU-N-NABEE صلی الله عليه وسلم KI TA’YEEN-12 HI TAREEKH TAY KARNE KE SAATH KHANA PAKAANA
(LOGON KO JAMAA KARNA) WAGHAIRAH GUMRAH KARNE WALI BID’ATE HAI, US SE BACHNA ZAROOREE HAI, AUR AGAR KHANE ME NIYYAT ISAALE SAWAAB KI HAI TO KHANA MUBAAH (NA SAWAB NA GUNAH) AUR SADQAH HAI,

AUR AGAR AKABIREEN KE NAAM PAR HAI (UN KO RAZI KARNE KI, UN SE QAREEB HONE KI NIYYAT HO, ALLAH KE NAAM PAR NA HUWA) GAIRULLAH KE NAAM PAR ZABAH KARNE KI SOORAT ME DAKHIL HONE KI WAJAH SE HARAM HAI, AUR AISE AQAAID FAASID AUR KUFR KE BAAIS HAI..

( JAIZ SURAT)

ISAALE SAWAAB AGAR DIN AUR KHAS KHANE KO TAY KIYE BAGAIR SIRF ALLAH KO RAZI KARNE KE LIYE HO TO MUSTAHAB HAI,ISALE SAWAB KA KHANA SIRF GAREEB KHAYE MALDAR KO KHANA MANA HAI.

MALFUZAT JILD 3. SE MAKHOOZ (MOLANA AHMAD RAZA)
AGAR DIN AUR KHANE KO KHAS KARNE KE SATH HO TO BID’AT HAI.

FATAWA RASHIDIYA /138
FATAWA MAHMOODIYA 15/429

AISE MAWQON ME IS TARAH KE KHANE PAKANE KA SHARIAT ME KOI SUBUT NAHI, LIHAZA YE KAAM NA JAAIZ AUR BID’AT HAI, AGAR MAHAZ RASM KE TOR PAR PAKAYA JAYE, SAWAAB KA AQEEDA NA HO TO BHI USME BID’AT KI TAYEED-HONSLA AFZAEE AUR RIWAJ DENA HAI, LIHAZA US SE BACHNA LAZIM HAI, USI BINA PAR KHANA QUBOOL KARNE SE BHI BACHNA CHAHIYE, ISKE BAWUJOOD YE HARAM NAHI HAI.

AHSANUL FATAWA 1/375
BY SHAIKHUL HADEES MAULANA AHMAD RAHIL SB D.B.MADRASAH KANZE MARGOOB PATAN

JAWAZ PAR AKAABIREEN IBARAT SE DALEEL PAKADNE KA JAWAB:
SHAAH ABDUR RAHEEM DAHELVI RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAI KE :
ME WILADAT KE DINON ME HUZOOR صلی الله عليه وسلم KO ISALE SAWAB PAHONCHANE KI NIYYAT SE KHANA PAKWATA THA. EK BAAR AESA HUWA KE MERE PAAS KUCHH NA THA KE ME KHANA PAKWATA, BHUNE HUWE CHANO KE ALAWAH. TO MENE USI KO LOGON ME TAQSEEM KAR DIYA…

IN JESE BUZRUGON KI IBARATON ME NA VILADAT KI HAD SE ZAYADA ROSHNI KA TAZKIRAH HAI, NA KHANE KE LIYE LOGON KA JAMA KARNE KA ZIKR (NA 12 TAREEKH KA ZIKR HAI, BALKE LIKHA HAI MAVLOOD YANI VILADAT KE DINO ME,NA JABARDASTI KA CHANDA HAI, NA SHAREEK NA HONE WALON KO HAQEER SAMJHNA HAI, NA MANDAP THA, NA RASTA BANDH KAR KE AANE JANE WALON KO TAKLEEF PAHONCHNA HAI) LIHAZA IS SE DALEEL PAKADNA SAHEEH NAHI.

(FATAWA RASHIDIYYAH 137)
و اللہ اعلم بالصواب
12 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON GUFIR LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *