MEELAD NA MANAYE BARELVI ULAMAA

MEELAD NA MANAYE BARELVI ULAMAA

Meelad un Nabi Kyun NAHI Manaana Chahiye (Brelwi Ulama ki Zubaani)
๐ŸŒน๐Ÿ‘‡๐Ÿผ๐ŸŒน๐Ÿ‘‡๐Ÿผ๐ŸŒน๐Ÿ‘‡๐Ÿผ๐ŸŒน๐Ÿ‘‡๐Ÿผ๐ŸŒน๐Ÿ‘‡๐Ÿผ๐ŸŒน

Hum Milad-un-Nabi Kyun Nahi Manaate (Ulama e Brelwi ki Zubaani)

Ulama e Bralwiya ko Baar Baar Yeh baat Kahi Jaati hai ke Milad ke Manaane aur Uske Juloos se Islaam ki Ibtedaayi 500 Sadi (500 years) Khaali rahi hai.

Lekin Ba-jaaye Samajhne ke, Yeh Hazraat Ulta Ulama e Ahle sunnat wal Jamaat ko Bhala Bura Kehte hai.

Par jo baat Ulama e Ahle Sunnat ne Kahi hai, wahi Bralwi Ulama ne bhi Kahi hai.

Pas, Ab Baat Hamaari hai, Zubaan Unki hai.

Bralwi Hazraat ke Hakeem ul Ummat, Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi Farmaate hai ke

โ€œ Imam Sakhaawi Rh. ne Farmaaya ke Milad Shareef Teeno Zamaano me Kisi ne NA kiya, Baad me Ijaad huwa.โ€

(Jaal al Haq : Safa 236)

Bralwi Maulwi Faiz Ahmed Owaisi Likhte hai ke

โ€˜Waqai Salaf-o-Saleheen ne yeh Amal Nahi kiya.โ€™

(Gausul Ibaad : Safa 50)

Ek aur Maqaam par Kehte hai ke

โ€˜Chunke Salaf-o-Saleheen ke Zamaane me is Tareeq ka Dastoor Nahi tha.โ€™ (Gausul Ibaad : Safa 51)

Bralwi Allama Ghulam Rasool Saeedi Farmaate hai ke โ€˜Mehfil e Milaad ki Haiyyat e Istemaayi Har Chand ke BIDDAT hai.โ€™

(Sharah Muslim : Jild 3 : Safa 185)

Aage Farmaate hai ke

โ€œKhulaasa Yeh hai ke Eid e Milaad Bidโ€™at (Naya Kaam) hai, Lekin Ach-chaiyyo Buraiyyo par Mushtamil hai.โ€

(Sharah Muslim : Jild 7 : Safa 1026)

Bralwi Shaykh ul Islaam, Tahir ul Qadri ki Gawaahi :

Sarkaar e Do-Aalaam SAW Apne Khaliq Haqeeqi se Jaa-mile, Toh Sahaba Kiraam Rdh. par gum wa Aalam ka Ek Kohe giraa toot gaya.

Isliye Jab Inki zindagi me 12 Rabbi-ul-awwam ka din aata, Toh Wisaal ke Sadme tale Wilaadat ki Khushi dab jaati aur

Judai ka gham az-sarino taza hojaata.

Aaqa e do Jahaa SAW ki Zindagi ki Yadoon ke Jalwe me 12 Rabbi ul Awwaal ka din Aata toh Khushi wa Gum ki Kaifiyate mil Jaati aur Sahaba Kiraam Rdh. Wisaal e Mehboob SAW ko Yaad Karke Sadma Zadah dilo ke saat Khushi ka Izhaar na karsakte the.

(Milad un Nabi SAW : Safa 454)

In Tamaam Bralwi Ulama ke Irshaadaat se Maloom huwa ke Sahaba Kiraam Rdh. Salaf-o-Saleheen aur Teeno Zamaano me Milad un Nabi MANAANE ka Riwaaj Nahi tha.

Mazeed Ghulam Rasool Saeedi ne Milad un Nabi ke Juloos ke Halaat yu Bayaan Karte hai ke

โ€œBaaz Shehro me Eid e Milad un Nabi ke Juloos ke Taqaddus ko Bilkul Paโ€™amaal kar diya gaya hai, Juloos Tang Raasto se Guzarta hai aur Makaano ki Khirdkiyo or Balconiyo se Naw-jawaan Lardkiya Aurtein Juloos me shareek honewalon par Phal waghairah Phaikti hai (Shayad Sawaab ki Niyyaat se, Al Eyaazubillaah)

Aubaash-kamine Nau-jawaan Fahash-gandi Harkatein karte hai.

Juloos me Mukhtalif Gaadiyo par Filmi gaano ki Recording hoti hai aur Naujawaan Lardke Filmi Gaano ki Dhuno par Naach-te hai aur Namaaz ke Auqaat (Waqt) me Juloos Chalta rehta hai, Masaajid ke Aage se Guzarta hai aur Namaaz ka koi Ahtemaam nahi kiya jaata.

Is Qism ke Juloos MILAD UN NABI KE TAQADDUS-IZZAT PAR BAD-NUMA DHAAG hai, Unki Agar Islaah na ho sake, TOH UNKO FAURAN BAND KARDENA CHAHIYE.

Kyunke Ek Amr Mustahsan ke naam par In Moharmaat ke Irtekaab ki Shariyat me Koi Asal nahi hai.

(Sharah Muslim : Jild 3 : Safa 170)

Ek aur Maulwi Sahaab, Abdul Ghafoor Sharqipuri Farmaate hai ke โ€œAgar Mustahab Farz ke liye Rukaawat bane, Toh Mustahab ka Chor-na Zaroori hai.โ€

(Namaazi ke paas Ba-Awaaz Zikr karna Jayez hai ya Nahi : Safa 176)

Aakheer me Ahmed Yaar Khan Naeemi Sahaab yu Likhte hai ke

โ€œ Is aayaat se Chand Masaail Maloom hote hai, Ek Yeh ke Agar Ghair Zaroori Ibaadat Fasaad Zariya ban-jaaye, Jo Hum se Mit na Sake, Toh Isko Chor-diya Jaaye.โ€

(Tafseer e Nurul Irfan, Haashiya : Safa 224)

Khulaasa e Kalaam :

Hamaari Sanjeeda Bralwi Hazraat se Guzaarish hai ke wo Bralwi Allama, Ghulam Rasool Saeedi Sahaab ki Ibaarat pe Ghaur kare.

Kya Aaya wo Tamaam Baatein Jo Saeedi Sahaab ne Zikr ki hai, Aaj kal ke Juloos me nahi horahโ€ฆ

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *