AAJ KA SAWAL NO.2496
Miswak karna aurton ke liye usee tarah sunnat hai? Jaise Mardon ke liye?
JAWAB
Miswak jaise Mardon ke liye masnoon hai usi tarah Aurton ke liye bhi masnoon hai. Hadees Shareef me hazrat Aaisha (radeeallahu anha) se saraahat ke sath miswak Karna saabit hai.
Lekin baa’z fuqaha kehte hai ke Aurton ke daant chu ke kamzor hote hai is liye un ke liye alak (gond) ya khurdare-jo Lisa na ho wese kapde ka istimal miswak ke qaaim muqaam hai. Un ko miswak ki bajaae alak/gond istimal karna chahiye. Us se daant saaf aur masoode mazboot ho jate hai aur miswak ka sawab haasil ho jata hai, lekin sawab ki shart ye hai ki istimal ke waqt miswak ki niyyat ho, agar niyyat hogi to sawab milega Varna nahi.
Aur ye bhi maujood na ho to ungli ko hi miswak ki niyyat se daanto par pher le.
Sunune Abi Da’ood me hai:
عن عائشة أنَّھا قالت: كان نبيُّ الله صلى الله عليه وسلم يَستاكُ فيُعطيني السِّواكَ لأغسِلَه، فأبدأُ به فأستاكُ، ثمَّ أغسِلُه وأدفَعُه إليه.
TARJAMA: Hazrat Aaisha (radeeallahu anha) rivayat karti hai ke nabi (sallallahu alaihi wasallam) miswak ka irada farmate to mujhe miswak dhone ke liye dete the. Chunanche me pehle miswak karti, phir use dhokar rasul ullah Sallallahu alaihi wasallam) ki khidmat pesh karti.
(Miskhatul Masabeeh: Safa 45 Jild 1 Baab-ul- Miswak)
Bahawala Durre mukhtar ma’a radul Muhtaar 1/75
Fatawa Hindiya: 1/7
Imdadul Fatawa jadeed 1/201