MURDAH BIWI KA CHEHRA DEKHNE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO:2551⭕

SHOHAR KE LIYE MURDAH BIWI KA CHEHRA DEKHNA AUR USKI QABR ME UTARNA JAIZ HAI YA NAHI?

🔵JAWAB🔵

. حامدا و مصلیا و مسلما

BIWI KE MARNE KE BAAD USKA KHAAWIND { SHOHAR} SHAR’AN US KE LIYE AJNABEE HO JAATA HAI, AUR NIKAH KA TA’ALLUQ POORE TAUR PAR KHATM HO JAATA HAI, ISLIYE GHUSL DENA AUR HAATH LAGANA MAN’A HAI,

LEKIN BIWI KA CHEHRA DEKHNA, AUR JANAAZE KO KANDHA DENA BILKUL DURUST (JAIZ) HAI, AUR AGAR KOI MAHRAM NA HO TO USE QABRA ME UTAARNA BHI DURUST HAI, KYUN KE QABRA KE ANDAR UTAARNE ME KAFAN DARMIYAN ME HOTA HAI, AUR KAFAN KE UPAR SE HAATH LAGANA DURUST HAI.

{Jaisa ke Durre Mukhtaar waghairah kutube fiqh mei tafseel se maujood hai}.

Wallahu Ta’ala A’alam
.
📘FATAWAA DARUL ULOOM DEOBAND-5/196.

♻ IS BARE ME BAHOT SE LOGON KO GALAT FAHMEE HAI LIHAZA IS MASLE KO ZIYADAH SE ZIYADAH SHARE KARE.

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *