NAV MUSLIM LADKA MUSALMAN LADKI KA KUFU-BARABARI KA NAHI
⭕ AAJ KA SAWAL No. 2227 ⭕
Muslim ladka musalman ladki ki jis ke maan baap Musalman Hai us se nikah ho sakta hai?
🔵 JAWAB 🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Islam mein nikah ke andar rishta nibhane mein aasani ho aur ek dusre ka mijaj,rahan sahan, Toro Tariqa mil jaaye isliye kufu- khandan me kufu-barabari ho is Ka Aitbaar Kiya Hai.lihaza nav Muslim ladka musalman ladki ka kufu- barabar ka nahin Hai yani woh Shakhsh jis ka man baap Gair Muslim hai voh us ladki ke a barabari-takkar nahin.Balig ladki ne apni Marzi se wali-zimmedar marzi bagair aese nav Muslim se nikah kiya hai to saheeh qaul ke mutabiq nikah hee saheeh nahi hoga.lihaza nikah karne ke bawajood un dononka sath rehna haraam hai.
han agar us nav muslim se nikah karne par ghar ka wali-zimmedar razi ho to nikah Saheeh ho jayega.
NOT Aajkal musalman ladki ko fasane ke liye ladka Musalman banne ka dhong-natak karta hai aur khud bhi ghar chhod deta hai ladki se bhi uska Ghar Mohabbat ke Naam per chhuda deta hai fir shaadi karn ke bad istemal kar ke ya Ek bachcha paida hone ke bad use chhod deta hai take woh na idhar ki rahe Na udhar ki aur use bazari ladki bana diya jata hai. Lihaza kisi nav muslim se a nikah karaana ho to ladka zahir aur batin se pure taur per Musalman hone ka itminan kiye Bagair nikah nahin karana chahiye.
📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 353 SE MAKHOOZ.
📕FATAWA MAHMOODIYAH 11/615 BA HAWALA SHAMI
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓 ISLAMI TAREEKH :
29 RABEEUL AAKHAR 1442 HIJRI
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.