Nazar-Mannat kin cheezon ki saheeh hai aur kin cheezon ki saheeh nahi?

NAZAR-MANNAT KI SHARTEN

SAWAL

Nazar-Mannat kin cheezon ki saheeh hai aur kin cheezon ki saheeh nahi?

JAWAB

Nazar-Mannat saheeh hone ki 3 sharten hain

  1. Jis cheez ki mannat mani jaye us ke jesee koi cheez shareeat me wajib ho masalan namaz roza sadqah aetikaf ye ibadaten jis tarah nafal hoti hai isee tarah wajib bhi hoti hai. isliye bimar ki iyadat ki ya masjid me jane ki mannat mane,mazar par chadar chadhane ki mannat  saheeh nahi. ye cheezen wajib nahi hoti hai.
  2. jis cheez ki mannat mani woh khud maqsood ho kisi ibadat ka zariyah-wastah na ho lihaza wuzu ki mannat manna saheeh nahi isliye wuzu apnee zat me khud maqsood nahi balke namaz ka waseelah aur zariyah hai isee tarah jamat me chillah,char maheene lagane ki mannat manna ke fula kaam ho gaya to jawunga ye nazar wajib nahi hoti. asal nikalna nahi asal to apni islah ya deen pahonchana hai.
  3. jis cheez ki mannat mane woh kaam fil haal ya aayindah zamane me us par wajib na ho jese kisi ne fajr ki namaz parhne ki ya ramazan ke roze rakhne ki mannat mani to saheeh nahi kiyun ke ye ibadat to pehle se hee khud us par wajib hai.
[SHIFAUL ARWAAH SHARHE NOORUL IZAH SAFA 498 AUR AHSANUL FATAWA SE MAKHOOZ]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *