NIKAH MUQADDAM YA FIR HAJJ

⭕AAJ KA SAWAL No. 2555⭕

Agar kisi ke pass Hajj ke safar ke baqadr maal jamaa ho jaae, aur use nikah ki bhi zaroorat ho, to use awwalan Hajj karna chahiye ya nikah?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Is baare me yah tafseel hai ke agar Abhi Hajj ke safar me der ho (Masalan : Sha’aban ya Muharram ke mahine me mall haasil ho, aur Hajj ke liye log Zul-Qadah me jaate hain) to pahle nikah karne ki ijazat hai.

Aur Hajj ka waqt qareeb ho to Nikah Ko muakhkhar karega, aur pahle Hajj ki adaigi karega.

Basharte ke Nikah Ko muakhkhar karne me gunah me mubtala hone ka yaqeen na ho, agar aisi kefiyat ho to bahar haal nikah Ko muqaddam Rakha jaaega.

(Kitabul Masail: 3/86)

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *