Sawal
Qasam ka kya hukm hai ?kin alfaz se munaqid ho jati hai aur kin alfaz se nahi hoti?
JAWAB
bila zaroorat qasam nahi khani chahiye allah ki naam ki tauheen aur behurmati hoti hai sachchi baat par bhi jahan tak ho sake qasam na khaye. qasam niche diye gaye alfaz se munaqid ho jati hai us ko pura karna wajib hai fir us kaam ke khilaf karna gunah hoga aur qasam ka kaffarah dena padega.allah ki qasam, khuda ki qasam, allah ki izzat ki qasam, wagairah allah ke kisi bhi naam ya sifat ki qasam khana.sirf qasam khata hun kehna.quran ki qasam khana se bhi qasam ho jati hai.quran par sirf hath rakh kar kehne se qasam nahi hoti.niche diye alfaz se qasam nahi hoti agar fulaan kaam me karun to me mar jawun ya meri aankhe fut jaye ya mujhe fulan bimari ho jaye ya me dane dane ka muhtaaj ho jaawun ya mujh par allah ki fitkar-gazab-laanat ho ya mujhe kalmah naseeb na ho wagairah apne liye kisi bad duaa se qasam nahi hoti aur us ke khilaf karne se kaffarah wajib na hoga.