Sawal..
Qurbani ke janwar ki khal masjid, madrase me de sakte hen.. ?
Jawab..
Janwar ki khal jab tak beche nahi tab tak wo gosht ki tarah he our usi ke hukm he, yani aap jis taragmh gosht kisi ko bhi de sakte hen usi tarah khal bhi de sakte hen… (phir jis ko khal dedi wo chahe to bech sakta he)
Albatta agar paiso se bechden to phir wo zakat ki tarah hojati he.. yani ab us ko garib mustahiq logo ko malik bana kar dena zaruri he..
Masjid me khal nahi de sakte q ke us me koi malik nahi banraha he,
Our madrase me dena jaaiz balke afzal he, qke wo khal bechkar us ke paise madrase me padhne wale bacho per kharch kiye jate hen (jis ka sawab aap ko bhi milega)
Isi tarah dusri koi tanzim, jamaat ko dene ka yahi huk he ke agar wo bech kar garibo ko paise malki bana kar dete hen to un ko de sakte he. Warna nahi..
(Mustafad az, aap ke masail our un ka hal 5/466)