Taraweeh Me Masjid & Dusre Ghar Ki Iqtida Karna

AAJ KA SAWAL NO.2071

TARAWEEH ME MASJID & DUSRE GHAR KI IQTIDA KARNA: Ham hamare Masjid ke Hafiz Sahab ke pichhe ya hamare Ghar ke bazu me taraweeh hogi in ke pichhe Apne Ghar se taraweeh padhna chahte hai to ye jaiz hai ya Nahi?
jawaz ki kya surat ho Sakti hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Iqtida ke Jo sharaait hai un me se ek shart imam aur muqtadi ki jaga Ka ek hona hai Ghar se namaz padhne ki Surat me aam taur par darmiyan me raasta aa jata hai agar raasta itna bada ho ke us me se four wheel gadi guzar Jaye to iqtida saheeh Nahi hogi.

Albattah Masjid ya jahan imam ho us makaan se mile huwe join daye baye aur pichhe ke makan me imam ke pichhe namaz padhi jaye.

Aur imam ke rukooa sajde wagairah haalat Ka achchhi Tarah pata chalna Chahiye Aur ye kaam mice ke zariye liya jaa sakta hai.

📗UMDATUL FIQAH 2/195 SE 197

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :

24 SHABAN AL MUAZZAM 1441 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

✅1.TASDEEQ: Hazrat mufti Tahir ustaze hadees wa ifta madrasah Sufi bag durat

✅2 . TASDEEQ HAZRAT MUFTI JUNED MUMBAI KULABA

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *