TRUST KE ZAKAT KE PAISON SE DEGREE DILWANA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2868⭕
Ek trust ye kaam bhi
anjaam deta hai ke musalman bachche jo dunyawee taleemi darsgaahon me padhte hain unka ta’aawun karte hain, is taur par ke agar fees ki wajah se wo pareshaan hon, ya unki taaqat fees jamaa karne ki na ho, wo gareeb wa naadaar hon to zakaat ki raqam se un ki fees jamaa ki jati he, taake ye bachche apne mustaqbil ko roshan kar saken, daryaaft talab baat ye he ke kya dunyawee uloom haasil karne waalon ka zakaat se ta’aawun karna durust he? jab ke wo mustahiqqe zakaat ho ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Mustahiqqe zakaat ko zakaat ki raqam di ja sakti he, taaham zakaat se maqsad e shari’at zaroorat mand gareebon ki bunyaadi zaruraton ko poora karna he,jis me roti, kapda, makaan, bachchon ki bunyaadi taaleem neez beemaari ka kharch wagairah daakhil he, jahan tak school ki fees ka muaamla he, to agar school ki saalaana fees maamuli ho to kisi gareeb ki fees ke liye zakaat ki raqam se madad karne me haraj nahi, kyun ke taalim bhi insaan ki bunyaadi zarooraton me daakhil he, albatta agar kisi shakhs ke mahenge school me apne bachchon ke daakhle aur fees ke liye zakaat dene aur lene se behtar he ke kisi mustahiq ke ghar ka choolaa hi jalaa diya jaaye, ya kisi mustahiq ke ilaaj ke liye raqam dee jaaye, mahenge school me daakhla aur fees ke liye zakaat ki raqam dena doosre mustahiqqeen ki haq talfi aur zakaat ki raqam ka israaf hi kahaa jaayega, taaham zakaat adaa ho jaayegi,
ek saahab ne apne bachche ki taalim aur course mukammal karne ke liye zakaat ki raqam istemaal karne kaa mas’ala maalum kiya, jab unse poocha gaya ke kitni raqam se course mukammal hoga? To un ho ne jawaab diyaa ke kamo besh 60 laakh , ab bataaiye muaashare me hazaaron gareeb, bewaaen, yateem bachche be ghar be sahaara hazraat mojood hen, unki zaroorat ko puraa kiya jawe ke unka course pooraa karne me taawun kiya jaye? koi bhi samjhdar shakhs kya jawaab dega? Aur shari’at bhi bunyaadi zaroorat mand ko muqaddam rakhti hai. mahenge school me daakhla aur fees ke liye zakaat ki raqam dena doosre mustahiqqeen ki haq talfi aur zakaat ki raqam ka israaf hi kahaa jaayega, taaham zakaat adaa hojaayegi lekin aisa karna bilkul hee munasib nahi.
(Umdatul qari 24/109)
Mufti juned ibne muhammad palampuri Darul ifta wal irshad kolaba mumbai
والله اعلم بالصواب
Tasheel wa ikhtisar Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India