Language
Click below for languages:
Kali Chaudas Ka Hukm
⭕AAJ KA SAWAL NO.3010⭕
Kya kali chavdas ki raat bahut bhari hoti hai? is me aatma bhatakti hai aur jadu hota hai is raat me bahar nahi nikkallna chahiye?
ek mavlana ne bataya ke Hadees se bhi is ki tayeed hoti hai jis me hai ke saal me ek raat aesi aati hai jis me aasman wabaa utarti hai lihaza is raat me padhne ke kuchh wazeefe bhi bataye the to kya ye baaten saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Islam me koi raat ya deen bhari ya manhoos nahi hota lihaz ye aqeeda galat aur hindu qaum ka aqeeda aur waham hai shareeat me aesa aqeeda rakhne ki ijazat nahi rahi baat us hadees ki jis me hai ke saal me ek raat aati hai jaise me bimariyan nazil hoti lrkin jo bartan dhhanke huwe hote hai aur jin mashkizon -pani ke ghrhon ka munh bandh hota hai us me nahi utarti (MUSNADE AHMAD)
Is raat se murad kon si raat hai wo tay nahi hai lihaza apni taraf se kali chavdas ko tay kar dena saheeh nahi lihaza bala nazil hone ka imkan har raat me hai isliye bartan dhankne ka hukm hai raat me hai is hadees me waba se bachne ka ilaj bartan dhankna bata diya hai lihaza us ke ilaj ke taur par apni taraf se wazeefe batana bhi saheeh nahi jo cheez aql ke khilaf hasees se sabit ho us par apni aql lagakar dusri cheez ko sabit nahi kar sakte lihaza is raat me koi khas wazeefa, surat padhna bhi saheeh nahi jo wazaif dua hadees sabit hai woh is raat me balke har raat me padhne chahiye.
📗MAHMOODUL FATAWA JILD SAFA SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
SAFARUL MUZAFFAR 1441 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.