Eid E Meeladun Nabi Ki Haqeeqat Aur Shurooaat








Eid E Meeladun Nabi Ki Haqeeqat Aur Shurooaat

⭕AAJ KA SAWAL No.3354⭕

Eid e Meeladun Nabi kyun manayi jati he ? Aur uski Haqeeqat kya he ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Meelad se Murad he paidaish ka din, aur Eid e Meeladun Nabi ka matlab he Nabiye Akram sallahu alaihi va aalihi va sallam ki paidaish ke din Eid manana.
Eid e miladun Nabi manane walon ka kehna he ke 12 Rabiul awwal ko Hazrat Muhammad sallahu alaihi va aalihi va sallam ki viladat hui thi, aur unki viladat ka din Khushi ka din he, isliye har saal is din ko bade josho kharosh se manate hen,naye kapde pehne jate hen, gharon me mithaiyan aur pakwan banaye jate hen, aur ek juloos bhi nikala jata he jisme Mike aur loud speaker per naare lagate hue shor sharabon ke beech ye khushiyan manate hen.
Ye kahan tak sahi he he ? Aur Quraan aur Hadees me iske baare me kya hukm he ?

Eid e Meeladun Nabi ko manane ka suboot na to kisi Hadees me milta he aur na hee Quraan ki kisi aayat me Eid e Meeladun Nabi ka zikr he, to phir ye wujood me kahan se aur kaise aaya ?

Tareekh ki kitabon ke hawale se pata ye chala ke Iraq ke shahar mausool ka ilaqa irbeel ka badshah “Malik muzaffar abu-saeed” ne Nabiye Kareem sallahu alaihi va aalihi va sallam ki wafaat ke 600 saal baad sab se pehle Islam me is nayi khurafaat ko janam diya, aur Rabiul awwal me mahine me uske hukm se ek mehfil sajayi gayi, jisme dastarkhwan sajaya gaya aur sufiyon ko bulaya gaya, phir dhol-tamashe aur nachna-gaana hua, jise Eid e Meeladun Nabi ka naam Diya Gaya.

📗(Al bidayah wan nihaya, jild safha 160,ibn e kaseer)

Is badshah ke bare me muarrikh ( ittihas kar) ne likha he ke ise Deen ki samajh nahi thi aur ye fuzool karch insaan tha.
📘(Anwar e saatiah, safha 267)

Uske pehle tak Quraan Hadees se sabit sirf 2 Eid hi thi, magar kuch gumrah logon ki wajah se ye teesri Eid ki shuruaat Hui jiski koi daleel mojood nahi he.

Hazrat Muhammad saalahu alaihi va aalihi va sallam farmate hen : Deen ke andar nayi nayi cheezen dakhil karne se baaz raho, bila shubah har nayi cheez bidat he aur har bidat gumrahi he aur har gumrahi jahannam me le Jane wali he.

📙(Abu Dawood kitabus sunnah 7064)

Is teesri Eid ko manane ki sharaee Haqeeqat pe gaur karen to
Eid e Meeladun Nabi ko kabhi bhi Rasoolullah sallahu alaihi va aali va sallam ke zamana e hayaat me nahi manaya gaya aur nahi kabhi Aap sallahu alaihi va aalihi va sallam ne ise manane ka hukm diya. Is teesri Eid ko sahaba e kiram Raziyallahu anhum me se kisi ne nahi manaya aur nahi kabhi is Eid ke wujood ki tasdeeq ki.
Tabaeen aur tabe tabaeen rahimahumullah ke daur me bhi kabhi kahin is Eid ka zikr nahi milta, aur nahi us zamane me bhi kisi ne is Eid ko manaya tha.
In tamam subooton se yahi sabit hota he ke Islam me 2 Eidon ( Eid ul Fitr aur Eid ul Azha) ke alawa koi teesri Eid nahi he,ye khurafati dimagh ki upaj he jo ke sarasar bidat he.
Rasoolullah sallahu alaihi va aalihi va sallam ne farmaya ” sab se behtareen amr ( amal karne wali) Allah taala ki kitab he aur sab se behtar tareeqah Muhammad sallahu alaihi va aalihi va sallam ka tareeqah he, aur sab se bad tareen kaam Deen me nayi nayi baaten paida karna he, aur har nayi baat gumrahi he”

📕(Ibn e majah jild 1 Hadees 45)
12 Rabi ul awwal ka din Hazrat Muhammad sallallahu alaihi va aalihi va sallam ke Daure Hayaat mein 63 dafa aaya tha, Hazrat Abu Bakr Raziy Allahu anhu ki khilafat mein 2 dafa aaya tha,
Hazrat Umar Raziy Allahu anhu ki khilafat mein 10 dafa, Hazrat Usman Raziy Allahu anhu ki khilafat mein 12 dafa aur Hazrat Ali Raziy Allahu anhu ki khilafat mein 4 dafa yeh din aaya Magar phir bhi kisi se bhi Eid e miladun Nabi manane ka suboot nahin hai, jab unke Jaisi shakhsiyaton ne jinke Imaan hum se kahin zyada Kaamil the, aur jo kitabullah aur sunnate rasool per aaj ke Musalman se kahin zyada Balke sabse zyada Amal karne walon mein se the, kabhi is din Ko nahin manaya to phir tum kaun hote Ho deen mein nayi cheez eijaad karne Wale?
Aise is bidat ko jzor shor se anjaam Dene Wale logon ke pesh kiye Gaye kuchh subuton per Gaur karte Hain,

“Kah dijiye Allah Taala ke is fazal aur rahamat per logon Ko Khush hona chahiye”
(Surah Yunus aayat 58)
Un logon ne is aayat mein rahmat se Murad viladate Nabi Tasleem kar liya jab ke rahmat se Murad Allah Taala ki kitab Quran hai,

Khud Ahmad Raza Khan sb ki tarjuma ki hui kanzul Imaan tafseer mein bhi is se Quraan Murad liya gaya hai un ki Tafseer mein likha hai :
Hazrat ibne Abbas va Hasan va Qatadah Radee Allahu anhum
ne kaha ke Allah Taala ke fazl se Islam aur uski rahmat se Quraan Murad hai, Ek Qaul yah hai ki fazlullah se Quraan aur rahmat se ahadees Murad hai”

📘KANZUL IMAN SAFA 404

📗(TAFSEERE IBNE ABBAS AYAT 58 SURAH E YUNUS)

Isi tarah aur bhi ayaten inki taraf se daleel ke taur per pesh ki jaati hain

“Aur unhen Allah Taala ke din yad dilao”
(Surh Ibrahim aayat 5)

“beshak Allah Taala ka bada ehsaan hai musalmanon per ke un me unhin mein se ek rasool bheja”
(surah aale Imran aayat 164)

Hadees bhi suboot ke taur per bayan ki jaati hai jab Allah Taala ke rasool sallallahu alaihi va aalihi va sallam se peer ke roze ke mutallik poochha jata hai to vah farmate Hain ki is duniya me peer ko hi meri wiladat bhi Hui aur peer ko hi nuzule Quran ki ibtida hui.
Aisi Na jaane Kayi daleelen vah log pesh karte Hain, Magar kahin bhi viladate Nabi ki baat nahin milti na to Quran ki daleel se hi ye wazeh hota hai, aur na hi Hadees ki baat se kuchh Aisa lagta hai, phir logon ne Apne matlab ke hisab se Kahan se Ma’ana nikalna shuru kar diya ?
Jab bhi Quraan ki aayat Rasoolullah sallallahu alaihi va aalihi va sallam per nazil hoti to Aap sahaba e kiram r.d. ko tafseer ke sath samjhate aur us per Amal karne ko kahte the, to kya Aap sallallahu alaihi va aalihi va sllam ne is Teesri Eid ko Apni awaam se chhupa liya tha? ya phir Aap sallallahu alaihi va aalihi wasllam ko Quraan ki un aayat ke matlab nahin samajh aaya tha? (NauzuBillah) jisse Aaj kuchh logon ne Quraan se is Eid ka matlab Nikal liya ?
Chalen agar us waqt kisi vajah se yeh baat rasoolu llah sallallahu alaihi va aalihi va sallam nahin bhi Bata paaye to phir aapke sahaba ko bhi yah baat pata na Chali ? arey yeh to woh log the jinhen agar chhoti se chhoti baat bhi pata chalti to us par Amal karna shuru kar dete the, phir kya yah itni badi baat Ko chhod dete? voh bhi jo khud Rasoolu llah sallallahu alaihi va aalihi vasllam se Judi Ho?
Arey jahilo aqal ke ghode dodao aur khud hi in baaton per Gaur karo ke jis kaam se hamare Nabi ka vasta nahi, sahaba e kiraam ka vasta nahi, tabein ka vasta nahi, use Tum deen keh rahe ho ? yaqinan tumse bada Gumrah koi nahin.
Allah Taala farmate hen “aur humne tumhare liye tumhara deen mukmmal kar diya”
(surah maida aaya 3)

Phir tumhen kya zaroorat Aan padi ke tum is deen mein bigaad paida karne Lage?

Allah Taala se dua hai ke in bhatke hue logon Ko rasta dikhayen aur ham sab ko Quraan aur sunnat per Amal karne ki toufiq ata farmae. Aameen.
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *