Pehle khud haj karey ya walidain ko karaye..? 2 haj muqaddam hai ya bachchon ki shaadi..?

SAWAL

  1. pehle khud haj karey ya walidain ko karaye..?
  2. haj muqaddam hai ya bachchon ki shaadi..?

JAWAB

  1. awlaad ke zimme maa baap ko haj karana zaruri nahi hai, lekin agar Allah ta’ala ne awalaad ko maal diya hai to haj karana badi sa’aadat [khushnasibi] hai,

[aap ke masail 4/72]

 

  1. agar kisi ke paas itna maal ho ke, wo haj kar sakta ho, lekin wo haj na karey, balke wo rupiya awlaad ki shadi me lagaa de, baad me muflis [garib] ho jaye aur tamam umr muflis rahe, to aise shakhs par shuru me maal hone ki wajah se haj farz samjha jayega, bilaa haj kiye mar jaye to farz haj chhodne ki wajah se gunehgaar hoga, aaj kal rasmo-riwaj ne shadi ke liye jo paabandiyan laazim kar di hai, wo aksar aisi hi hai jo ke shar’an laazim-zrooree nahi, balke shar’an najaiz hai, agar masnoon tariqe se shadi ki jaye to haj mauqoof ya baad me karne ki zarurat pesh na aaye.

[fatawa. darul uloom-4/518]

[ fatawa mahmudiyah3/178]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *