AAJ KA SAWAL No. 2633
Mere bahut se dost va ahbab non muslims hain mere yahaan agar kisi ka Inteqal ho jaae ya koi museebat paish aa jaae to woh hamare yahaan ta’ziyat ke liye aate hain,
To kya agar non muslims me se kisi ka Inteqal ho jaae to usko taziyat-pursha dene ka kya hukm hai?
Agar pursha dena jaiz hoto uska kya Tareeqa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Non Muslims ki khushi aur gami me Insani, samaji rishte ki wajah se shariq hona durust he balke behtar hai, taake un par Islam ki Faraakh (kushada) dili aur muslmano ki khush akhlaqi ka naqsh (sikka) qaayim ho sake, Isliye non muslims ki ta’aziyat bhi ki jaa sakti hai, fark yah hai ke musalmano ki ta’aziyat karte huve wafat pane wale ke liye dua e magfirat karni chahiye, non muslims marne wale ke ghar walon ke liye muhabbat aur ta’alluq ka izhar kiya jaae. Ghar walon ko sabr aur dheeraj naseeb ho aisee dua kare ehle ilmne non muslims ki ta’aziyat ke liye yah kalimat likhkhe hain
اعظم اللہ اجرك و احسن عزاءك
A’azamallahu ajraka va ahsanu iza’ik.
و الله اعلم بالصواب