GOSHT AUR QEEMAT BARABARTO KIN JANWAR KI QURBANI BEHTAR HAI
⭕AAJ KA SAWAL No. 2886.PART 2.⭕
Do bade janwar ya chhote aur bade janwar Qeemat aur gosht me barabar ho ya ek ki qeemat zayada lekin gosht me dono barabar ho to Kis jaanvar ki qurbani karna afzal hoga?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Gushitah kal ke jawab ki tarah Mazeed misalon se ye masla wazih kiya jata hai.
Misal no.
(6) Qeemat aur gosht dono ka andazah Barabar ho, to Jis ka gosht umdaah hai, us ki qurbani afzal hai aur jaanvar Qeemat me Barabar hai aur gosht me farq hai, to Jis ka gosht zyadah hoga, us ki qurbani afzal hogi.
(7) gaay-Bhens aur saandh,katra-bhensa ke gosht aur Qeemat ke Barabar hone ka andazah ho to bhens-gaay ki qurbani behtar hai, kyonke us ka gosht umdaah hota hai.
(8) Agar bhense-saandh ki Qeemat zyadah hai to bhens-Gaaye ke muqaabil bhense-saandh ki qurbani me shawab zyadah hai.(kyun ke maal us me zyada kharch ho raha hai)
(9) Bakri ki qeemat ek bhens-Gaaye ke barabar ho, to bhens-Gaaye ki qurbani me sawab zyadah hai; kyonke agarChe qeemat me dono Barabar hai, Lekin gosht bhens-Gaaye aur oont me zyadah hota hai; isliye us me sawab zyadah hai.
📕QURBANI KE FAZAIL WA MASAIL SAFA 110.
BA HAWALA
📘ALAMGIRI 5/370
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India