AAJ KA SAWAL No. 2813
(TASBEEH) jo ke taraaweeh ki har 4 rakaat par padhi jaati hai, kisi masnoon duaa ki kitaab me is ka zikr nahi hai , fir bhi uska itna ehtemaam karna kesa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Fiqhe hanafi ki kitaabon me se sab se pehle ye duaa QAHASTAANI ki sharhe wiqaayah me milti hai, Aur qahastaani ne uska hawaala (MANH’HUL IBAAD) naami kitaab ka diya hai, Fir qahastaani ki kitaab se ibne aabideen ne (RAD’DUL MUKHTAAR) me naql kiya hai, fir ibne aabideen se ye duaa kutube fiqh wa fataawa me raaij hui.
lekin mazkoorah duaa ke alfaaz chand riwaayaton me alag alag hadees ki kitaab me waarid huwe hain, kisi ek riwaayat me ya kisi ek hadees ki kitaab me puri duaa ka suboot nahi milta,
shayad yahi baat is duaa ki asal ho sakti hai,un mese farishton ki tasbeeh waali riwaayaat sanad ke eitebaar se bahot zyaadah kamzor hai, mazeed ye ke in riwaayaton me is tasbeeh ka taraaweeh me padhne ka koi zikr nahi hai.
Akaabireen e deoband ka mavqaf:
Margul fataawa (3/429 )par haashiya me ye likha hai ,
Hamaare is zamaane me tasbeeh e taraaweeh me bahot gulu hone laga hai, khususan bartaaniya (aur gujrat ki) aksar masaajid me taraawih ki ye tasbeeh (Subhaan zil mulki wal malakoot… ) bade bade postar aur ishtihaar ki shakl me qibla ki diwaar par badi taadaad me chaspaa ki jaati hai, haalan ke kisi mustahab ke saath zyaadah ehtemaam aur waajib jaisa muaamla hone lage, to fuqaha usko chhodne ka hukm farmaate hain, aur yahan haal ye hai ke awaam to awaam ulamaa tak use bade ehtimaam se padhte hain, aur lutf ye ke bil jahar padhne ka riwaaj aam hota jaa raha hai Awwalan is tasbeeh ka suboot hadees se mushkil hai, Allama shaami ne zarur ise likha hai, aur un ki ittibaa me ye duaa hamaari kutube fiqah wa fataawa me darj ho gayi hai, haalan ke jo duaa wa azkaar ahaadees me marwi hain unka padhna zyaadah sawaab rakhta hai, isi wajah se hazrat aqdas Maulana RASHEED ahmad saahab gangohi Rahmatullahi alaihi kaa maamul iske bajaaye (tisra kalmah) padhne ka tha, Hazrat mufti Azizur rahman saahab tahreer farmaate hai : Ahqar kehtaa hai kalimah (som) ki bahot fazeelat ahaadise saheehaa me waarid hai, isliye padhna uska afzal hai, aur yahi maamool wa mukhtaar tha hazrat muhaddis wa faqeeh gangohi”ka,
(FATAWA DARUL ULOOM DEOBAND 4/246 SAWAL NO.1761)
Hazrat hakimul ummat molaana thaanwi se kisi ne puchha ke Aap tarwihaa me kiya padhte hai? farmayaa : shar’an koi zikr muta’aiyan to he nahi, baaqi me 25
martabah durud shareef padh letaa hu,
(TUHFA E RAMZAN SAFA 111)
KHULAASA: Tarweeha me padhne ki koi duaa ahaadis se saabit nahi hai, ye jo mash’hoor tasbeeh hai uske padhne ki gunjaaish hai,lekin us ko zaruri nahi samajhna chaahiye, Aur na zor se padhna chaahye , Us ke bajaaye wo azkaare masnunah padhna jinki fazilat saabit hai ziyaadah behtar hai, Aur yahi salafe saaliheen aur akaabire deoband ka maamul rahaa hai,
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India