Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Huqooq








Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Huqooq

⭕AAJ KA SAWAL NO.3352 ⭕

HUQOOQ KI ADAYGI BAHUT ZAROORI HAI AUR HAR EK SE TALLUQ KE KUCHH AADAB HOTE HAI JIS KE ADA KARNE SE DUNYA AKHIRAT ME KAMYABI MILTI HAI.
RASOOLULLAH SALALAHU ALAYHI WASALLAM KE KYA HUQOOQ WA AADAB HAI?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki baargah ke aadab wa huqooq darje zail hai.

  1. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM par iman lana,
  2. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki ita`t wa perwee karna,
  3. Sab se zayada aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM se muhabbat karna,
  4. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke mutalliq sab se afzal hone ka aetiqad karna,
  5. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke khaatamun nabiyyeen hone ka aetiqad rakhna,
  6. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke mutalliq masoom wa be gunah hone ka yaqeen karna,
  7. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki adnaa-mamooli mukhalifat se bhi apne aap ko bachana,
  8. Aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki muhabbat me gulu-had se aage badhne (Yani allah ta`ala ke sath makhsoos sifat ko aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke liye sabit manne se bachna)
  9. Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki izzat aur naamos par ungli uthhanewalon se difa’a karna.(un ko jawab dena aur un ke khilaf Awaz uthhana).
  10. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke deen ki madad karna- us ko felana- us ki hifazat karna
  11. Kasrat se aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM par duroodo salam bhejte rehna,
  12. Ahle bait aur aap SALALAHU ALAYHI WASALLAM ki aalo awlad ahle bait se muhabbat rakhna,
  13. Sahaba Radeeyallahu anhum se muhabbat rakhna.

📗SUNANO AADAB SAFA 22 SE 24.
📘HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE DAS HAQ

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH : RABEEUL AWWAL 1445 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *