Isale Sawab Ke Liye Qabr Par Jane Aur Dua Ke Liye Hath Uthane Ka Hukm




Language

Click below for languages:

 

Isale Sawab Ke Liye Qabr Par Jane Aur Dua Ke Liye Hath Uthane Ka Hukm

⭕Aaj ka sawal No 3378⭕

Qabar pe jakar fatiha khawani karni chahiye?

Isale sawab ke liye kya padhana chahiye aur dua kis tarah karen?

🔵Jawab🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

isale sawab ke liye Qabar ke pass jana zaruri hi Nahin Hai Qabron per jaane ka maqsad aakhirat ki yad dahani Hai lihaza koi qabar ki ziyarat ke liye jaaye aur Qabar per ishale shabab lazim samjhe bagair Qabar ke pass kuchh padhne chahe to jis jaanib bhi ise sahulat Ho is jaanib Khade hokar Isale sawab ke liye surah fatiha aur surah ikhlas (قل هو الله احد) surah takasur surah zil zal vagaira padh sakta hai, albatta agar maiyat ke liye hath utha kar dua karna chahe to Qibla Rukh Ho kar dua karni chahie! Qabr ki taraf hokar dua maangne me un se dua mangne ka shuba ,-galat fahmi ho sakti hai

📑 Darul ifta jamiatul Uloom Islamiya binoria town fatwa no 144105200065

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *