⭕Gujarati Title⭕
⭕Gujarati Content⭕
लॉक डाउन के ज़माने में
⭕आज का सवाल २०७८⭕
हर शख़्स जानता है की लॉक डाउन का ज़माना चल रहा है, सारे कारोबार कम्पनिया, फैक्टरी, कारख़ाने, दुकानें बंद है, इसकी वजह से लोग ज़बरदस्त ऐतिबार से माल की कमी का सामना कर रहे हैं।
ऐसे में सब से बुरा हाल उन लोगों का है जो दुकानो कारखानो और फैक्ट्री मैं माहाना तन्ख्वाह पर मुलाज़मत करते है।
लॉक डाउन की वजह से सारे के सारे कारोबार ठप पड़े हैं, और नोकर भी नोकरी की जगहो पर नहीं जा पा रहे हैं, और बहुत से लोग कारखानो और फैक्ट्री ही में रहते हैं, मगर बंद की वजह से वो भी काम नहीं कर पा रहे है।
ऐसे में यह मुलज़िमीन- नोकर तन्ख्वाह के हक़दार होंगे या नहीं ?
🔵जवाब🔵
حامدا و مصلیا مسلم
इजारे-मज़दूरी में चीज़ों के मनाफ़े के बदले या अमल के मनाफ़े के बदले माली इवाज़-बदला मुक़र्रर किया जाता है।
पूछी हुई सुरत में जिस इजारे की बात की जा रही है वो अमल के मनाफ़े के बदले माल का बदला है, ओर इस तरह के मुलज़िमीन को शरइ इस्तिला ख़ास ज़ुबान में अजीर इ खास कहा जाता है, यानि ये मुलाज़िम आमतौर पर एक ही शेठ के यहाँ काम करते है।
सूरत ए मसऊल में एक बात बिल्कुल साफ़ है की मुलाज़िम बंद रस्ते और सवारियां न होने की वजह से काम पर नहीं जा पा रहे हैं, या कारखाना और दूकान वगैरा बंद होने की वजह से काम नहीं कर पा रहे हैं, दोनों ही सुरतो में अपने अमल का फायदा दे नहीं पा रहे हैं, यानि जिस अमल और काम की बुन्याद पर उन्हें तनख्वाह मिलती थी वो अमल और काम ही नहीं है लिहाज़ा वो शरइ ऐतिबार से तन्ख्वाह के मुस्तहिक़ नहीं होंगे।
ये जूज़िया क़ुतुब ए फ़िक़्ह में साफ़ साफ़ मिलता है की कोई मुलाज़िम (अजीर ए ख़ास) बारिश की वजह से या बीमारी की वजह से काम पर नहीं जा पाये तो वो उजरत-पगार का मुस्तहिक़ न होगा (इस से भी ज़्यादा सरीह जूज़िया मोजूद हे) अलबत्ता अगर दूकान या कारखाने पर मुलाज़िम आ गया है और उस दिन शेठ ने ग्राहक न होने की वजह से काम ही न लिया हो तो वो मुलाज़िम उजरत-पगार का मुस्तहिक़ होगा।
सूरत मसऊल में हुकूमत की तरफ से कारख़ाने और दूकानें वग़ैरा बंद करवाई गई है, की जिसकी वजह से मुलाज़िम-नोकर काम नहीं कर पा रहा है, लिहाज़ा वो उजरत-पगाई का मुस्तहिक़ नहीं होगा।
इन हालत में जिस तरह मुलज़िमीन परेशान हैं इसी तरह कारख़ाने के मालिक हज़रात और दुकानदार भी परेशान हैं, कि प्रोडक्ट बनाना और खरीद व फरोख्त सब कुछ बंद है, नीज़ अगर वो किरायेदार है तो उनसे किराया भी लिया जा रहा है, लिहाज़ा कहीं ऐसा न हो जाए के ये हज़रात परेशान होकर कर इजारा-नोकरी के मुआमले को ही को फ़स्ख़- कैंसल कर देवे तो मुलज़िमीन के लिए आइन्दा भी परेशानी बढ़ जाएगी।
अलबत्ता ऐसे हालत जो न कहे जाये न सहे जाये, अपने मुलज़िमीन के साथ हमदरदी से पेश आना अख़लाक़ी फ़रीज़ा और हक़ीक़ी इंसानियत है, ऐसे हालत में उन्हें बे सहारा परेशानी की हालत में छोड़ देना खिलाफ ए इंसानियत और खुदगर्ज़ी के सिवा कुछ नहीं, लिहाज़ा उन की जितनी भी हो सके मदद करनी चाहिए, के उन के घर का चूल्हा जलता रहे और यही बहतरीन वक़्त हे इन गरीबो से दुआएँ लेने का।
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓 हिजरी तारीख़ :
०१ रमजानुल~मुबारक १४४१ हिजरी
✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌 उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा व सेक्रेटरी जमीयते उलमा सूरत शहर, गुजरात, इंडिया
⭕Urdu Title⭕
⭕Urdu Content⭕
Lock Down – karfiyu Ke Zamane Me Tankhah Ka Hukm
⭕AAJ KA SAWAL NO.2078⭕
har shakhs jaanta hai ki lock down ka zamana chal Raha hai sare karobar companiyan,factoryan, karkhane ,dukane band hai iski wajah se log zabardast aitibaar se Maal ki Kami ka Samna kar rahe hain.
aise mein sab se Bura haal un logon ka hai jo dukaano karkhano aur factory Main mahana tankhwah per mulazamat karte hain.
Lockdown ki wajah se saare ke saare karobar thap pade Hain aur nokar bhi nokti ki jagaho per nahin ja pa rahe hain aur bahut se log karkhano aur factory hi mein rahte Hain Magar band ki wajah se wo bhi Kam nahin kar pa rahe hain.
Aise mein yah mulazimeen- nokar tankhwah ke haqdar honge ya nahin?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلم
ijare-mazdoori mein cheezon ke Manafe ke badle ya amal ke Manafe ke badle Maali iwaz-badla muqarrar Kiya jata hai.
Puchhi hui surat mein jis ijare ki baat ki ja rahi hai wo Amal ke Manafe ke badle Maal ka badla hai,aur is tarah ke Mulazimeen ko sharee istilah-khaas zuban mein ajeer e khas
kaha jata hai yani ye mulazim aamtaur per ek hi Seth ke yahan kaam karte hain.
Surat e masuoola mein ek baat bilkul saaf hai ki mulazim band raste aur sawariya na hone ki wajah se kam per nahin ja pa rahe hain ya karkhana aur dukaan vagaira band hone ki vajah se Kam nahin kar pa rahe hain dono hi surato mein Apne Amal ka faaida De Nahi Pas rahe hain yani jis Amal aur kaam ki bunyaad per unhe tankhwah milti thi wo Amal aur kaam hi nahin hai lihaza wo sharee aetibar se tankhwah ke mustahiq Nahi honge.
Ye juziya kutub e fiqh me Saaf saaf milta hai ki koi mulazim (ajeer e khaas)baarish ki vajah se yah bimari ki vajah se kaam per nahin ja paye to wo ujrat-pagaar ka mustahiq Na hoga (is se bhi zyaada sareeh juziya mojood he) Albatta agar dukaan ya karkhane per Mulazim aa gaya hai aur us din Seth ne grahak na hone ki wajah se kaam hi na liya ho to wo mulazim ujrat-pagar ka mustahiq hoga.
Puchhi hui surat mein hukoomat ki taraf se karkhane aur dukaane vagaira band karwai gai hai ki jiski vajah se Mulazim-nokar Kam nahin kar pa raha hai lihaza wo ujrat-pagaar ka Mustahiq nahin hoga.
In halat mein jistarh Mulazimeen pareshan hein isi tarah karkhane ke Malik hazraat aur dukandar bhi pareshan Hain Ki product Banna aur kharidna-bechna sab kuchh band hai,neez agar wo kiraya dar hai to unse kiraya bhi liya ja raha hai lihaza kahin Aisa Na Ho jaaye ke ya Hazrat pareshan hokar kar ijara-nokari ke muaamale ko hi ko faskh-csnsal kardewe to Mulazimeen ke liye aainda bhi pareshani badh jaay.
Albatta aise haalat Jo na kahe Jaye na sahe jaye Apne Mulazimeen ke sath hamdardi se pesh aana akhlaqi Fariza aur haqeeqi Insaniyat hai aise halat mein unhe be Sahara preshani ki halat mein chhod dena khilaf e Insaniyat or khud garzi ke siwa kuch nahi lihaza un ki jitni bhi ho sake madad karni chahiye ke un ke ghar ka chulha jalta rahe or yahi bahtareen waqt he in gareebo se duaain lene ka.
و الله اعلم بالصواب
HAZRAT MUFTI JUNAID PALANPURI MUMBAI KULABA
Tanthah ke bare me ek dusra nazriya Urf-bazari dharah-riwaj
Mjooda lock down me mulazimeen-nokaro ki taraf se koi zyadati nahi balke sarkari toar par taalimi silsile ko mulammal toar par rok diyaa gayaa hai…..lihaza is urf ke tahat ye log ujrat ke haqdaar hai neez urf bhi yehi hai ke umuman idaare-madaris school chuttiyo me apne mulaazimin ki tankhwaahe jaari rakhte hai aor companyaa kaam na hone ke baawajood aksar apne mulaazimin ki tankhwaah jaari rakhti hai taake ye acche mulaazimin hamare haath se naa nikl jaay… Ye to idare aor company waalo ke Faidah ke liye hotaa hai,,, jab ye idare aor company apne faaidah ke liye mulaazimin ki tankhwaahe jaari rakhti hai to iswaqt mulaazimin ke faidah ke madde nazar tankhwaahe jaari rakhe.
المعروف بالعرف كالمشروط شرطا (قواعد الفقه ص ٨٢)
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
1 RAMZANUL MUBARAK 1441 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.