Mother Day Manana & islami Ta’leem






Mother Day Manana & islami Ta’leem

⭕AAJ KA SAWAL NO.3216⭕

Mother’s day guzar chuka lekin is bare islami Rhnumai kya hai?
us Ka manana kaisa hai?
Agar is din kuch tohfe wagaira Maa ko diya jaye to Kaisa hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Mother day manana gairon ki rasm aur un ka tareeqa hai lihaza un ki mushabahat-copy hone ki wajah se mana hai.
ek hi din sirf mother ko yaad karna aur fother Ka Yaad Na karna ye un ko taklif pahonchana jaisa hai aur pure sal bhul jana munasib nahi.
quraan hadees jahan bhi maa-bap Ke huqooq Ka tazkirah hai wahan dono Ka ek sath tazkirah hai sirf maa Ka hi tazkirah Nahi hai.
maa-bap ki muhabbat to har din aur har ghadi Dil me honi Chahiye aur rozana mulaqat Karni Chahiye۔
huzoor sallahu alayhe wasallam ne farmaya Jo Nek awalad maa-bap ko muhabbat ki nigah se dekhe use maqbool Haj Ka sawab milta hai logon ne arz Kiya din me so martaba dekhe to? huzoor sallahu alayhe wasallam ne farmaya،to bhi.(Yani har martaba par maqbool haj Ka sawab milega) Allah ta’ala to bade hai Aur paakizah hai.

📗AL JAAMIA LIL SHU’BUL IMAN 20/245

Jo alag aur door rehta ho unhen kam se kam har hafte mulaqat karni chahiye aur eid, aashuwarah wagairah islami tehwar me tohfa dena chahiye aur un ki har zaroori khidmat pure saal jitni bhi ho sake karna zaroori hai.

📗 و لا ترکنوا الی الذین ظلموا فتمسکنوا النار سورہ ھود آیت ۱۱۳

أخبرنا أبو منصور أحمد بن علي الدامغاني … عن ابن عباس، أن رسول الله صلی الله علیه وسلم قال: ما من ولد بار ینظر إلی والدیه نظرة رحمة إلا کتب الله بکل نظرة حجة مبرورة، قالوا: وإن نظر کل یوم مائة مرة؟ قال: نعم، الله أکبر وأطیب”.
📘 (الجامع لشعب الإیمان للبیهقي:۱۰/۲۴۵)

 

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
RABEEUL AAKHAR 1441 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *