AAJ KA SAWAL NUMBER 2563
MUHARRAM KE MAHINE ME KYA KARNA CHAHIYE KYA NAHIN?
MASHHOOR BID’ATEN KYA KYA HAIN?
AAJ KA JAWAB
حامد و مصلیا و مسلما
Muharram ke Mahine ko Maatam aur Sog ka Mahina Qarar dena Jaiz nahin, Haraam hai, aur Muharram ke mahine me Shaadi wagairah ko Na-Mubarak aur Na-Jaiz samajhna sakht Gunah aur Ahl-e-Sunnat Wal jama’at ke Aqeede ke khilaf hai,
Islam ne jin chizon ko halaal aur Jaiz qarar diya ho, aeteqadan ya amalan unko Na-Jaiz aur Haraam samajhne me Iman ka Khatrah hai.
Fatawa Raheemiyah 3/191.
Muharram ko Zikr e Shahadat ka bayaan karna agarche sahih riwayaton se ho, ya Sabeel lagaa kar sharbat pilana ya Chanda Sabeel sharbat me dena, ya doodh pilana yah sab sahih nahin hai aur Rawafiz (Shiyaon) se mushabahat (Similarities) ki wajah se Haraam hai.
Fatawa Rasheediya
139
Taziya saazi ka na-jaiz hona aur uska Khilaafe Deen o Imaan hona Azhar minash shams hai,(suraj ki tarah khuli huyi baat hai) Qur’an e majeed me hai
اتعبدون ما تنحتون
Kya tum aisi chizon ki ibadat karte ho jisko tumne tarasha aur banaya hai
Zaahir hai ke Taziya insaan apne haath se taraash kar banata hai aur fir Mannat maani jaati hai aur usse muraaden maangi jaati hain, uske saamne aulaad o sehat ki duaen ki jaati hain, Sajadah kiya jaata hai, uski ziyarat ko Hazrat Hussain razi Allahu anhu ki ziyarat samjha jaata hai,
Kya yah sab baaten Imaan ki Rooh aur Islam ki taleem ke khilaf nahinyah sab baaten Bid’at aur Na-Jaiz hain.
Fatawa Raheemiya 2/275,
Fatawa Rasheediya 576.
Aashoorah ke din ke Mutalliq shariat ne khaas Chizen batlayi hain:
Rozah rakhna,
Ahlo Ayaa (ghar walo) par khaane peene me wus’at karna.
Hadees Shareef me hai ke Jisne Yaum e aashoorah ke din apne baal bachon par khaane me wus’at (kushadgi) ki to Allah Ta’ala poore saal Rozi me izafa karenge, iske alawah us din ke liye aur koi Hukm nahin hai.
Fatawa Raheemiya 2/380.
Masail e Shirk o bid’at
و الله اعلم بالصواب