Tijarati Saman Se Company Wala Gift Nikaal Kar Bechna
⭕AAJ KA SAWAL No.3362⭕
🔵SAWAL🔵
kabhi aisa hota hai ke company se koi cheez kharidte Hain, to wo kabhi us cheez ke sath koi gift bhi de dete hain, kya wo gift nikàl kar gahak (customer) ko bech sakte hain?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Maàruf wa mash-hoor companies aise gift gahak ke liye hi rakhti Hain, aur wo gift asal maal ke sath hi pack ki hui hoti hain, lihaza unhi company ki tay ki hui scheme aur shaarait ke aetibar se bechna chahiye, agar nikalega to ye company aur gahak ke sath dhoka hoga jo ke na jaiz hai, albatta agar dukan dar gahak ko bata de ke is cheez ke sath gift tha Jo mene nikal liya hai, ya company ki taraf se is baat ki sarahat ho ke ye gift dukandar ke liye hai to dhoka na hone ki wajah se use nikalna jaiz hai.
و الله اعلم بالصواب
📘 RADDUL MUHTAR 86/5
AL FATAWA HINDIYAH 135/3
SAHIH MUSLIM 99/1 HADITH NO 164
MAKHAZ DARUL IFTA JAMIA TUR RASHEED
FATAWA NO 72820 SE MAKHOOZ
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India