Khilafe qanoon hajj karna
Sawal
Haj ke darkhast form me is bat ka bhi iqrara hota hai ke 5 sal ke andar haj na kiya ho. Agar koi shakhs is muddat ke under ja chuka hai to kiya ye shakhs dhoka denewala kehleyega?
Jawab
Haj azeem ibadat hai jis ke zariyea sab gunah muaaf ho jate hai jhut gunah hai aur qasam us se bhi zayada qabeeh-khatarnak aur buri hai ibadat ke liye gunah ki ijazat nahi wese bhi khilafe qanoon cheez ka karna apne aap ko khatre me dalna hai pol khul jane par maal aur izzat donon ka khatrah hai aesa khatra mol lena aqalmandon ka kaam nahi hai isliye aesa hargiz na kiya jaye.
*masaile hajjo umrah safa 45
*ba hawala fatawa mahmoodiyah 17/199, 187 13/171
AAJ KA SAWAL No. 2857
Mere pas itne paise the jis se me Hajj kar sakta tha lekin socha fulan fulan kaam nipta lun phir Hajj karunga lekin aaj corona ke baad ye halat hai ke Hajj ki adayigi ke paise ab mere paas nahi hain to kya mujh se hajj muaaf ho gaya?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui soorat me Hajj ka fareeza maal baqi na rehne ki wajah se aap se muaaf nahi huwa balke barabar farz rahega.
KITABUL MASAIL 3/97
BA HAWALA
ALAMGIREE 2/218
TAHTAWEE 396
والله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India